Shiv Puran ka mahatva aap Aadarpurvak sunain:
SHIV PURAN Vedant ka saar sarvasva hai aur wakta (speaker-reader-chanter) evam shrota (listener) key samast paap-rashiyon sey uddhar karney wala hai.Itna hee nahin, Shiv Puran parlok mein parmarth wastuo ko deney wala hai. Dharm, Arth, Kaam aur Moksh - in charon ki prapti SHIV PURAN ko padney ya sunaney se hotee hai.
SHIV PURAN mein 24000 shloka hain aur yeh Vedtulay
Puran saat Sahintaon mein vibhajit hai:
(1) VIDHEYSHWAR SAHINTA;
(2) RUDRA SAHINTA;
(3) SHATRUDRA SAHINTA;
(4) KOTI-RUDRA SAHINTA;
(5) UMA SAHINTA;
(6) KAILASH SAHINTA;
(7)WAYWEEYAY SAHINTA..
.
Jo badey aadar sey Shiv Puran ko padta hai ya sunta
hai wah Bhagvan Shiv ka priya hokar param gati ko
prapt hota hai!
Kaan sey Bhagvan naam-gun aur lilao ka shravan,vaanee se unka keertan aur man dvara unka manan, in teeno ko mahasadhan kaha gaya hai.To chant and jap the name and qualities of Bhagvan Shiv,to listen the various actions,to go for Kirtan
of his name, through our speech/tongue and the jaap of His name every moment,are the supreme ways of attaining the blessings of Almighty.
JO SHRAWAN, KIRTAN AUR MANAN - IN TEENO SAADHANO KEY ANUSHTAN MEIN SAMARTH NA HO, WAH BHAGWAN SHANKAR KEY LING EVAM MOORTI KI STHAPNA KARKEY NITYA USKEE POOJA KAREY, TO SANSAAR-SAGAR SEY PAR HO SAKTA HAI.
by:S.P.Kulsari.....
1 comment:
kafi deep hein ;;
samaj rahey hein or jiwan ko swarney ki koshish mein hein
aisey topic kafi sukkun detey hein;
Post a Comment