Friday, April 10, 2009

MAA KE VIBHINN ROOPON KI MAHIMA

Mahakaali

Ek baar jab pura sansaar pralay se grast ho gaya tha, charo or pani hi pani dikhaai deta tha, us samay bhagwaan Vishnu ki naabhi se ek kamal utpann hua. Us kamal se Brahmaa ji nikale. Bhagwaan Narayan ke kaano se kuchh mail bhi nikla. Us mail se ketabh or madhu naam ke 2 daitya bane. Jab un daityon ne charo or dekha to unhe Brahma ji ke alava kuchh nahi dikhaai diya. Brahma ji ko dekh kar ve daitya unhain maarne ke liye bhage.Tab bhaybheet Brahma ji ne Vishnu ji ka aahvahan kiya. Brahma ji ke aahvahan se Vishnu ji ki aankho me se jo mahamaaya. Brahma ki yog nidra ke roop me nivaas karti thi lop ho gai, aur Vishnu bhagwaan ji ki aankhe khul gai. Unke jaagte hi ve dono daitya bhagwaan Vishnu ji se ladne lage. Is parkaar 5 haraaz varsho tak yudh chalta raha. Ant me bhagwaan ki raksha ke liye Mahamaaya ne asooro ki budhi ko bal diya. Tab ve asoor bhagwaan Vishnu se bole "Hum aapke yudh se pareshan hai. Jo chahe var maang lo." Bhagwaan Vishnu ne manga ki daityo ka nash ho jaaye. Daityo ne tathastu bol diya or is parkaar Detayo ka vinaash hua. Detayo ko budhi dene Mahamaaya Mahakali gai thi.

Mahalakshmi

Ek samay Mahishasur naam ka ek daitya hua.Usne samst rajaao ko harakar Prithvi aur Pataal par apna adhikaar jama liya.Jab vah devtaao se yudh karne lagaa to devta bhi usse yudh main haarkar bhagne lage Bhagte bhagte ve bhagwaan Vishnu ke paas pahuche aur us daitya se bachne ke liye stuti karne lage. Devtaao ki stuti karne se bhagwaan Vishnu or Shankar ji jab prasann huye,tab unke shareer se ek tej nikla, jisne Maha Lakshmi ka roop dharan kar liya. Inhi Maha Lakshmi Maata ne daityon ko yudh me maar kar devtaao ka kasht door kiya.

Chamunda

Ek samay Shumbh-Nishumbh naam ke do daitya bahut bal-shaali the.Unse yudh main manushaya to kyaa devta tak har gaye.Jab devtaon ne dekha ki ab yudh me nahi jeet sakte, to ve swarg chhodkar bhagvaan Vishnu ki stuti karne lage.Us samay bhagwaan Vishnu ke shareer me se ek jyoti parkat hui, jo ki Maa Saraswati thi.Maa Saraswati ataynat Roopwaan thi.Unka roop dekh kar daitya mugdh ho gaye aur apna Sugreev naam ka doot unke paas apni ichcha parkat karne ke liye bheja.Us doot ko devi ne vapas kar diya!. Iske baad un dono ne kuchh soch-samjh kar apne senapati Doobhrash ko sena sahit bheja, Vo Devi dvara sena sahit mara gaya.Fir Chand Mund ladne aaye, ve bhi mare gaye. Iske baad Rakt Beej ladne aaya, jiske rakt ki ek boond jamin par girne se ek or Rakt Beej paida ho jaata tha. Use bhi Maata ne maar giraya. Ant me Shumbh-Nishumbh dono Mata se svayam ladne aaye, or unka bhi sanhaar Mata ke hi haatho hua.

Yogmaaya

Jab Kans ne Vashudev-Devki ke 6 putro ka vadh kar diya tha or 7ve garbh me Sheshnaag Balraam ji aaye jo Rohini ke garbh me parvesh  kar parkat huye, tab 8va janam Krishan ji ka hua. Saath hi saath Gokul main Yashoda ke garbh se Yogmaaya ka janma hua jo Vashudev ji ke dawaara Mathura  laai gai. Jab Kans ne kanya savroopa us Yogmaya ko marne ke liye patkana chaha tab usne aakash me jakar devi ka roop dharan kar liya. Aage chalkar isi Yogmaya ne Krishan ji ke saath Yogvidya or Maha Vidya bankar Kans aur Charoon jaise saktishaali aasuro na naash kiya.

Raktdantika

Ek baar Veprichit naam ke asur ne bahut se kukaram karke Prithivi ko vayakul kar diya tha.  Uske kukaram dekh kar devtaao ko bhi bhay ho gaya tha. Devtaao or Prithvi ki parthana par us samay maa Durga ne Raktdantika naam se avtaar liya.Yeh devi asuro ko maar kar unka rakt paan kiya karti thi Isi karan inka naam Raktdantika vikhayat hua.

Shaakumbhari

Ek samay prithvi par 100 varsho tak barsaat nahi hui thi. Isi karan charo or hahakaar mach gaya .Sabhi jeev bhookh or pyaas se vayakul ho kar marne lage.  Us samay muniyo ne mil kar devi Bhagwati ki upsana ki. Tab maa Jagdambe ne Shaakumbhari Maa ke roop me Janam liya or unki kirpya se varsha hui. Jisse prithvi se samast jeevo ko jeevandaan prapat hua.


Bhramari

Ek baar Maha atyachaari Arun naam ka asur paida hua. Usne swarg me jaakar updarv karna shuru kar diya. Devtaao ki patniyo ke satitav ko nasht karne ki cheshta karne lagaa. Apne satitav ki raksha ke liye dev patniyo ne bhero ka roop dhar liya or Devi Durga ki puja karne lagi. Dev patiniyo ke satitav ki raksha ke liye Maat Durga ne Bhramari ka roop dharan kiy aur us aasur ko uski sena sahit maar giraya tatha dev patniyo ke satitiva ki raksha ki.

Chandika

Ek baar prithvi par Chand Mund naam ke 2 asur paida huye.Ve itne balwaan the ki unhone sansaar me apna samrajay faila liya or devtaao ko bhi harakar vaha apna rajay sathpit kar liya.  Is parkaar devta bohut dukhi huye or Maa Durga ki puja karne lage. Tab Maa Durga Chandika ke roop me avtarit hui or unhone rakshso ka sanhaar karke ek baar fir se sansaar ko aasuro ke atayacharo se mukt karaya.









No comments:

Whose responsibility is it to give moral education school or home?

Followers